bhole-bhaale insanon ka nam likha
bhole-bhāle insānoñ kā naam likhā
kāġhaz par changez likhā bahrām likhā
sab ne rab kā naam likhā tāvīzoñ par
lekin maiñ ne apnī maañ kā naam likhā
sote rahiye dhartī kī chādar oḌhe
apne haq meñ raavī ne ārām likhā
logoñ ne kashmīr kī jhīleñ likkhī thiiñ
maiñ ne sulagtā aur jaltā āsām likhā
mele-Thele Dholak tāshe qavvālī
qabroñ kī ḳhāmoshī par kohrām likhā
aksar merī andhī āñkheñ paḌhtī haiñ
bahte hue paanī par terā naam likhā
āḳhir ik din TuuT gayā sone kā qalam
miTTī ne hī miTTī kā anjām likhā
bhole-bhaale insanon ka nam likha
kaghaz par changez likha bahram likha
sab ne rab ka nam likha tawizon par
lekin main ne apni man ka nam likha
sote rahiye dharti ki chadar oDhe
apne haq mein rawi ne aaram likha
logon ne kashmir ki jhilen likkhi thin
main ne sulagta aur jalta aasam likha
mele-Thele Dholak tashe qawwali
qabron ki KHamoshi par kohram likha
aksar meri andhi aankhen paDhti hain
bahte hue pani par tera nam likha
aaKHir ek din TuT gaya sone ka qalam
miTTi ne hi miTTi ka anjam likha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.