bhula dena na ahl-e-dil ko tum jashn-e-bahaaran mein
bhula dena na ahl-e-dil ko tum jashn-e-bahaaran mein
Sirajuddin Siraj
MORE BYSirajuddin Siraj
bhulā denā na ahl-e-dil ko tum jashn-e-bahārāñ meñ
ki un kā ḳhuun bhī shāmil hai ta.amīr-e-gulistāñ meñ
abhī to shahr se laa.e the un ko iltijā karke
pahuñch jaa.eñ na dīvāne kahīñ phir se bayābāñ meñ
huī jaatī hai kyoñ mādūm ra.anā.ī bahāroñ kī
banā.ī hai ḳhizāñ ne rahguzar shahr-e-nigārāñ meñ
mahal ḳhvāboñ ke girte jā rahe haiñ yūrish-e-ġham se
mohabbat kī kamī mahsūs hotī hai dil-o-jāñ meñ
zarā sā farq jab shahr-o-bayābāñ meñ nahīñ baaqī
to phir ye ajnabiyyat sī hai kyoñ dast-o-garebāñ meñ
dil-e-kaj-fahm kab samjhegā hālāt-e-zabūñ āḳhir
sukūñ kī raushnī miltī nahīñ zehn-e-pareshāñ meñ
'sirāj' us ko nahīñ barbādī-e-gulshan kā ġham koī
koī tabdīlī shāyad ho ga.ī chashm-e-nigahbāñ meñ
bhula dena na ahl-e-dil ko tum jashn-e-bahaaran mein
ki un ka KHun bhi shamil hai tamir-e-gulistan mein
abhi to shahr se lae the un ko iltija karke
pahunch jaen na diwane kahin phir se bayaban mein
hui jati hai kyon madum ranai bahaaron ki
banai hai KHizan ne rahguzar shahr-e-nigaran mein
mahal KHwabon ke girte ja rahe hain yurish-e-gham se
mohabbat ki kami mahsus hoti hai dil-o-jaan mein
zara sa farq jab shahr-o-bayaban mein nahin baqi
to phir ye ajnabiyyat si hai kyon dast-o-gareban mein
dil-e-kaj-fahm kab samjhega haalat-e-zabun aaKHir
sukun ki raushni milti nahin zehn-e-pareshan mein
'siraj' us ko nahin barbaadi-e-gulshan ka gham koi
koi tabdili shayad ho gai chashm-e-nigahban mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.