bhulai ja nahin sakti kabhi bhi ganw ki miTTi
bhulā.ī jā nahīñ saktī kabhī bhī gaañv kī miTTī
jahāñ paalā thā mujh ko maañ ne vo thī gaañv kī miTTī
mire daadā ko aur daadī ko jitnī pyārī lagtī thī
mujhe bhī lagtī hai utnī hī pyārī gaañv kī miTTī
tumhāre shahr se mujh ko mohabbat ḳhuub hai yaaro
magar ghar khīñch laatī hai ye ab bhī gaañv kī miTTī
laḌakpan meñ maiñ so jaatā thā us kī god meñ aksar
mujhe maañ kī tarah lagtī thī pyārī gaañv kī miTTī
jinhoñ ne gaañv Thukrāyā thā apnā shahr kī ḳhātir
unheñ bhī yaad aatī hai bahut hī gaañv kī miTTī
mahal ko chhoḌ kar jab raam jī van ko chale the tab
vo ghar se van meñ le aa.e tanik sī gaañv kī miTTī
na.e laḌko pitā ke baa'd us ko tum bachā lenā
virāsat meñ milegī tum ko jo bhī gaañv kī miTTī
ye duniyā chhoḌ kar jab bhī maiñ apne gaañv se jā.ūñ
lagā denā mire māthe pe bhaa.ī gaañv kī miTTī
bhulai ja nahin sakti kabhi bhi ganw ki miTTi
jahan pala tha mujh ko man ne wo thi ganw ki miTTi
mere dada ko aur dadi ko jitni pyari lagti thi
mujhe bhi lagti hai utni hi pyari ganw ki miTTi
tumhaare shahr se mujh ko mohabbat KHub hai yaro
magar ghar khinch lati hai ye ab bhi ganw ki miTTi
laDakpan mein main so jata tha us ki god mein aksar
mujhe man ki tarah lagti thi pyari ganw ki miTTi
jinhon ne ganw Thukraya tha apna shahr ki KHatir
unhen bhi yaad aati hai bahut hi ganw ki miTTi
mahal ko chhoD kar jab ram ji wan ko chale the tab
wo ghar se wan mein le aae tanik si ganw ki miTTi
nae laDko pita ke ba'd us ko tum bacha lena
wirasat mein milegi tum ko jo bhi ganw ki miTTi
ye duniya chhoD kar jab bhi main apne ganw se jaun
laga dena mere mathe pe bhai ganw ki miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.