bhuk iflas taqazat se Dar lagta hai
bhuuk iflās taqāzāt se Dar lagtā hai
ab to bachchoñ ke savālāt se Dar lagtā hai
ḳhisht-bar-ḳhisht chunā kartā hai dīvār-e-anā
dil ke in kashf-o-karāmāt se Dar lagtā hai
chup raho vā.izo ab aur na uljhāo hameñ
aap ke va.az-o-ḳhitābāt se Dar lagtā hai
na milūñ ḳhud se kahīñ ḳhauf sadā rahtā hai
ab to bas zikr-e-mulāqāt se Dar lagtā hai
gir na jā.ūñ maiñ zamāna kī nigāhoñ se kahīñ
ghar ke bigḌe hue hālāt se Dar lagtā hai
tīr-o-nashtar kī tarah dil meñ utarte haiñ 'qamar'
tere alfāz ke ālāt se Dar lagtā hai
bhuk iflas taqazat se Dar lagta hai
ab to bachchon ke sawalat se Dar lagta hai
KHisht-bar-KHisht chuna karta hai diwar-e-ana
dil ke in kashf-o-karamat se Dar lagta hai
chup raho waizo ab aur na uljhao hamein
aap ke waz-o-KHitabaat se Dar lagta hai
na milun KHud se kahin KHauf sada rahta hai
ab to bas zikr-e-mulaqat se Dar lagta hai
gir na jaun main zamana ki nigahon se kahin
ghar ke bigDe hue haalat se Dar lagta hai
tir-o-nashtar ki tarah dil mein utarte hain 'qamar'
tere alfaz ke aalat se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.