bhuk main amiri ki chiKHti dikha dunga
bhuuk maiñ amīrī kī chīḳhtī dikhā dūñgā
botaloñ ke hoñToñ par tishnagī dikhā dūñgā
jis ke mulk kī bachchī bhaat kahtī mar jaa.e
us ke bādshāhoñ kī muflisī dikhā dūñgā
qarz bo.e khetoñ meñ bhuuk kaise ugtī hai
peḌ se laTaktī har ḳhud-kushī dikhā dūñgā
tere ujle mahloñ meñ luuT kar sajā.ī hai
jhoñpaḌī ke hisse kī raushnī dikhā dūñgā
nafrateñ kī taqrīreñ kitne ghar jalā baiThīñ
aag tere chehre se boltī dikhā dūñgā
ilm le ke nikle the dharm sar pe Dhote haiñ
bhaTkī naujavānī kī zindagī dikhā dūñgā
kyā huā amāvas hai jugnū phir bhī jugnū hai
maiñ unheñ añdheroñ meñ raushnī dikhā dūñgā
bhuk main amiri ki chiKHti dikha dunga
botalon ke honTon par tishnagi dikha dunga
jis ke mulk ki bachchi bhat kahti mar jae
us ke baadshahon ki muflisi dikha dunga
qarz boe kheton mein bhuk kaise ugti hai
peD se laTakti har KHud-kushi dikha dunga
tere ujle mahlon mein luT kar sajai hai
jhonpaDi ke hisse ki raushni dikha dunga
nafraten ki taqriren kitne ghar jala baiThin
aag tere chehre se bolti dikha dunga
ilm le ke nikle the dharm sar pe Dhote hain
bhaTki naujawani ki zindagi dikha dunga
kya hua amawas hai jugnu phir bhi jugnu hai
main unhen andheron mein raushni dikha dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.