bhuk mein bhi nahin bharta wo kabhi tir pe zaKHm
bhuuk meñ bhī nahīñ bhartā vo kabhī tiir pe zaḳhm
dekh paatā jo shikārī dil-e-naḳhchīr pe zaḳhm
ek muddat se mirī qaid kā zimma le kar
aa chuke hoñge abhī halqa-e-zanjīr pe zaḳhm
itnī shiddat se laḌā thā mirā jaanī dushman
haath se paḌ ga.e the qabza-e-shamshīr pe zaḳhm
daaġh dene haiñ tujhe dard nahīñ denā hai
kyā kareñ gar na ukereñ tirī tasvīr pe zaḳhm
itnā dil-gīr hai kirdār kahānī kā mirī
naam likhte hī ubhar aa.e haiñ tahrīr pe zaḳhm
bhuk mein bhi nahin bharta wo kabhi tir pe zaKHm
dekh pata jo shikari dil-e-naKHchir pe zaKHm
ek muddat se meri qaid ka zimma le kar
aa chuke honge abhi halqa-e-zanjir pe zaKHm
itni shiddat se laDa tha mera jaani dushman
hath se paD gae the qabza-e-shamshir pe zaKHm
dagh dene hain tujhe dard nahin dena hai
kya karen gar na ukeren teri taswir pe zaKHm
itna dil-gir hai kirdar kahani ka meri
nam likhte hi ubhar aae hain tahrir pe zaKHm
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.