bhuke rah kar zindagi ke din bita sakta hun main
bhūke rah kar zindagī ke din bitā saktā huuñ maiñ
maañg kar hargiz nahīñ duniyā meñ khā saktā huuñ maiñ
dostī karnā bahut mushkil nahīñ hai ḳhvāb se
par haqīqat se nahīñ nazreñ churā saktā huuñ maiñ
terī jānib se ishāre kī zarūrat hai mujhe
apnī palkoñ par tujhe dilbar biThā saktā huuñ maiñ
aap kā gar saath ho to zindagānī meñ sanam
jo nahīñ mumkin vo sab kar ke dikhā saktā huuñ maiñ
bech kar īmān gar hāsil ḳhushī karnī paḌe
shauq se tā-‘umr phir aañsū bahā saktā huuñ maiñ
ho mubārak aap ko hī be-dilī aur be-ruḳhī
dil na patthar aap ke jaisā banā saktā huuñ maiñ
bhuke rah kar zindagi ke din bita sakta hun main
mang kar hargiz nahin duniya mein kha sakta hun main
dosti karna bahut mushkil nahin hai KHwab se
par haqiqat se nahin nazren chura sakta hun main
teri jaanib se ishaare ki zarurat hai mujhe
apni palkon par tujhe dilbar biTha sakta hun main
aap ka gar sath ho to zindagani mein sanam
jo nahin mumkin wo sab kar ke dikha sakta hun main
bech kar iman gar hasil KHushi karni paDe
shauq se ta-‘umr phir aansu baha sakta hun main
ho mubarak aap ko hi be-dili aur be-ruKHi
dil na patthar aap ke jaisa bana sakta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.