bhul jaoge ki rahte the yahan dusre log
bhuul jāoge ki rahte the yahāñ dūsre log
kal phir ābād kareñge ye muġhāñ dūsre log
daf bajātī huī sahrāoñ se aa.egī havā
aur phir hoñge yahāñ raqs-kunāñ dūsre log
jal-bhunjeñge ki ham is raat ke īñdhan hī to haiñ
ḳhair dekheñge na.ī raushaniyāñ dūsre log
ham ne ye kār-e-junūñ kar to diyā hai āġhāz
toḌ Dāleñge ye zanjīr-e-girāñ dūsre log
ye bhī gum-karda zamānoñ kī zabāñ bolte haiñ
apne hī log haiñ ai ham-safarāñ dūsre log
tiir chalte raheñge haath badalte raheñge
gardaneñ ham to uThā leñge nishāñ dūsre log
bhul jaoge ki rahte the yahan dusre log
kal phir aabaad karenge ye mughan dusre log
daf bajati hui sahraon se aaegi hawa
aur phir honge yahan raqs-kunan dusre log
jal-bhunjenge ki hum is raat ke indhan hi to hain
KHair dekhenge nai raushaniyan dusre log
hum ne ye kar-e-junun kar to diya hai aaghaz
toD Dalenge ye zanjir-e-giran dusre log
ye bhi gum-karda zamanon ki zaban bolte hain
apne hi log hain ai ham-safaran dusre log
tir chalte rahenge hath badalte rahenge
gardanen hum to uTha lenge nishan dusre log
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 116)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.