bhul jaun main ada kaise us harjai ki
bhuul jā.ūñ maiñ adā kaise us harjā.ī kī
jis ne ḳhushbū kī tarah merī pazīrā.ī kī
yaad jab us kī chalī aa.ī mirī rāhoñ meñ
laaj rakh lī hai usī ne merī tanhā.ī kī
aise ujḌā hai tire ba.ad mire dil kā jahāñ
achchhī lagtī nahīñ āvāz bhī shahnā.ī kī
dauḌ jaatī hai lahar sī mere dil ke andar
yaad jab aatī hai us shoḳh kī añgḌā.ī kī
ḳhūn-e-dil apnā pilāyā jo ġhazal ko maiñ ne
tab kahīñ jā ke zamāne ne pazīrā.ī kī
bhul jaun main ada kaise us harjai ki
jis ne KHushbu ki tarah meri pazirai ki
yaad jab us ki chali aai meri rahon mein
laj rakh li hai usi ne meri tanhai ki
aise ujDa hai tere baad mere dil ka jahan
achchhi lagti nahin aawaz bhi shahnai ki
dauD jati hai lahar si mere dil ke andar
yaad jab aati hai us shoKH ki angDai ki
KHun-e-dil apna pilaya jo ghazal ko main ne
tab kahin ja ke zamane ne pazirai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.