bhul jaun tujhe aisi koi tadbir nahin
bhuul jā.ūñ tujhe aisī koī tadbīr nahīñ
aur pā luuñ tujhe aisī mirī taqdīr nahīñ
sun to letī hai mire ġham kā fasāna mujh se
shukr hai terī tarah se tirī tasvīr nahīñ
yā to ab terā tasavvur bhī ḳhafā hai mujh se
yā mirī aah meñ vo pahlī sī tāsīr nahīñ
dil-shikan ḳhat pe bhī dil chaah rahā hai ai dost
jhuuT hī koī kahe ye tirī tahrīr nahīñ
us ke kūche ko maiñ chāhūñ bhī to chhoḌe na bane
aur kahne ko mire paañv meñ zanjīr nahīñ
kārvāñ ziist kā luT kar sar-e-manzil pahuñche
ye mire ḳhvāb kī taz.hīk hai ta.abīr nahīñ
soz ulfat kā nigāhoñ se ayaañ hotā hai
ye fasāna kabhī minnat-kash-e-tafsīr nahīñ
dil ko miltī hai usī tīr-e-nazar se rāhat
jis se zahrīlā zamāne meñ koī tiir nahīñ
ai 'zafar' hāsil-e-ulfat haiñ ye mere aañsū
ye alag baat ki in tāroñ meñ tanvīr nahīñ
bhul jaun tujhe aisi koi tadbir nahin
aur pa lun tujhe aisi meri taqdir nahin
sun to leti hai mere gham ka fasana mujh se
shukr hai teri tarah se teri taswir nahin
ya to ab tera tasawwur bhi KHafa hai mujh se
ya meri aah mein wo pahli si tasir nahin
dil-shikan KHat pe bhi dil chah raha hai ai dost
jhuT hi koi kahe ye teri tahrir nahin
us ke kuche ko main chahun bhi to chhoDe na bane
aur kahne ko mere panw mein zanjir nahin
karwan zist ka luT kar sar-e-manzil pahunche
ye mere KHwab ki tazhik hai tabir nahin
soz ulfat ka nigahon se ayan hota hai
ye fasana kabhi minnat-kash-e-tafsir nahin
dil ko milti hai usi tir-e-nazar se rahat
jis se zahrila zamane mein koi tir nahin
ai 'zafar' hasil-e-ulfat hain ye mere aansu
ye alag baat ki in taron mein tanwir nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.