bhul kar dard muskura pagle
bhuul kar dard muskurā pagle
lutf jiine kā kuchh uThā pagle
ban kueñ kā na is tarah meñDak
soch kā dā.era baḌhā pagle
tujh ko mil ke rahegā vo ik din
jo hai tere nasīb kā pagle
bāzuoñ par yaqīn apne rakh
aas ġhairoñ se mat lagā pagle
maan le bin kiye koī shikva
jo hai qismat kā faisla pagle
devtā ban sake kahāñ mumkin
aadmī ḳhud ko bas banā pagle
haiñ umīdeñ vafā kī duniyā se
hosh kī apne kar davā pagle
bhul kar dard muskura pagle
lutf jine ka kuchh uTha pagle
ban kuen ka na is tarah meinDak
soch ka daera baDha pagle
tujh ko mil ke rahega wo ek din
jo hai tere nasib ka pagle
bazuon par yaqin apne rakh
aas ghairon se mat laga pagle
man le bin kiye koi shikwa
jo hai qismat ka faisla pagle
dewta ban sake kahan mumkin
aadmi KHud ko bas bana pagle
hain umiden wafa ki duniya se
hosh ki apne kar dawa pagle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.