bhul kar pahlu-e-ummid main aaya na gaya
bhuul kar pahlū-e-ummīd maiñ aayā na gayā
jo patā ham ko batāyā thā vo paayā na gayā
qalam-andāz-e-fanā huuñ mirī vaq.at dekho
maiñ huuñ vo harf-e-mukarrar jo miTāyā na gayā
is takalluf pe kahāñ lutf ham-āġhoshī kā
aap se pahlū-e-tasvīr meñ aayā na gayā
vo adā aur thī ye aur hai phir aur sahī
be-niyāzī se koī rañg jamāyā na gayā
is rukāvaT meñ bhī nairañg-e-dil-āvezī hai
ruuTh jaane kī hai ḳhūbī ki manāyā na gayā
de diyā taaq se ā.īna uThā kar un ko
haal mujh se dil-e-hairāñ kā dikhāyā na gayā
varaq-e-hashr lagāyā hai adam ke pīchhe
jab mirā haal ḳhamoshī se jatāyā na gayā
rabt-o-be-rabtī-e-anfās se kuchh bhī na huā
ye ġhubār-e-ġham-e-dil thā ki uḌāyā na gayā
bekasī-hā-e-tamannā se hayā aane lagī
terī tasvīr ko siine se lagāyā na gayā
dekhnā charḳh-e-jafā-kār kī majbūrī ko
is tarah ham ko girāyā ki uThāyā na gayā
ai 'vafā' ārzū-e-marg ne jī chhoḌ diyā
dast-e-ahbāb se ab zahr bhī khāyā na gayā
bhul kar pahlu-e-ummid main aaya na gaya
jo pata hum ko bataya tha wo paya na gaya
qalam-andaz-e-fana hun meri waqat dekho
main hun wo harf-e-mukarrar jo miTaya na gaya
is takalluf pe kahan lutf ham-aghoshi ka
aap se pahlu-e-taswir mein aaya na gaya
wo ada aur thi ye aur hai phir aur sahi
be-niyazi se koi rang jamaya na gaya
is rukawaT mein bhi nairang-e-dil-awezi hai
ruTh jaane ki hai KHubi ki manaya na gaya
de diya taq se aaina uTha kar un ko
haal mujh se dil-e-hairan ka dikhaya na gaya
waraq-e-hashr lagaya hai adam ke pichhe
jab mera haal KHamoshi se jataya na gaya
rabt-o-be-rabti-e-anfas se kuchh bhi na hua
ye ghubar-e-gham-e-dil tha ki uDaya na gaya
bekasi-ha-e-tamanna se haya aane lagi
teri taswir ko sine se lagaya na gaya
dekhna charKH-e-jafa-kar ki majburi ko
is tarah hum ko giraya ki uThaya na gaya
ai 'wafa' aarzu-e-marg ne ji chhoD diya
dast-e-ahbab se ab zahr bhi khaya na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.