bhul ke apne sare dukhon ko KHushiyon ke lamhat mein aa
bhuul ke apne saare dukhoñ ko ḳhushiyoñ ke lamhāt meñ aa
ai mujh par mar-miTne vaale aa jā merī zaat meñ aa
ḳhaak se hī to paidā huā hai ḳhaak meñ hī mil jā.egā
nāz-o-anā ko chhoḌ ke pyāre aa apnī auqāt meñ aa
sūraj kī zau terī chamak ko hatman phīkā kar degī
chāñd mire ab chhoḌ bhī de ye din kī zid aur raat meñ aa
ai dil tū ne kyoñ kī mohabbat āḳhir us harjā.ī se
maiñ ne kab tujh se ye kahā thā ki tū merī baat meñ aa
ai banī-ādam hāthoñ pe hāthoñ ko dhare ḳhāmosh na baiTh
aanā hai gar tujh ko to tārīḳhoñ ke safhāt meñ aa
kuchh bhī nahīñ hai paas mire dene ko rāh-e-mohabbat meñ
tujh se guzārish hai mire hamdam mat aise hālāt meñ aa
kyā ho taqābul terā nabī se aur un kī aulādoñ se
gar hai barābar un ke to phir qur.āñ kī āyāt meñ aa
bhul ke apne sare dukhon ko KHushiyon ke lamhat mein aa
ai mujh par mar-miTne wale aa ja meri zat mein aa
KHak se hi to paida hua hai KHak mein hi mil jaega
naz-o-ana ko chhoD ke pyare aa apni auqat mein aa
suraj ki zau teri chamak ko hatman phika kar degi
chand mere ab chhoD bhi de ye din ki zid aur raat mein aa
ai dil tu ne kyon ki mohabbat aaKHir us harjai se
main ne kab tujh se ye kaha tha ki tu meri baat mein aa
ai bani-adam hathon pe hathon ko dhare KHamosh na baiTh
aana hai gar tujh ko to tariKHon ke safhat mein aa
kuchh bhi nahin hai pas mere dene ko rah-e-mohabbat mein
tujh se guzarish hai mere hamdam mat aise haalat mein aa
kya ho taqabul tera nabi se aur un ki auladon se
gar hai barabar un ke to phir quran ki aayat mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.