bhul paya na wo aankhen na wo chehra ta-umr
bhuul paayā na vo āñkheñ na vo chehra tā-umr
kaisā manzar thā mirī aañkh meñ khaTkā tā-umr
zindagī tujh se mirā ishq bhī āsān na thā
paar kartā rahā maiñ aag kā dariyā tā-umr
raat kī raanī mahaktī rahī ghar ke andar
aur bāhar rahā ḳhurshīd kā pahra tā-umr
bhuul jaane kā amal bhī koī āsān na thā
ashk ban-ban ke lahū aañkh se Tapkā tā-umr
maiñ tahī-dast rahā apnī hī vahshat kā shikār
aur kartī rahī duniyā mirā pīchhā tā-umr
apne qadmoñ se kabhī us ko nikalne na diyā
mujh se bad-zan rahā ḳhud merā hī saayā tā-umr
saarī ḳhushbū to mire ghar ke dar-o-bām meñ thī
maiñ 'ziyā' kis ke liye dasht meñ bhaTkā tā-umr
bhul paya na wo aankhen na wo chehra ta-umr
kaisa manzar tha meri aankh mein khaTka ta-umr
zindagi tujh se mera ishq bhi aasan na tha
par karta raha main aag ka dariya ta-umr
raat ki rani mahakti rahi ghar ke andar
aur bahar raha KHurshid ka pahra ta-umr
bhul jaane ka amal bhi koi aasan na tha
ashk ban-ban ke lahu aankh se Tapka ta-umr
main tahi-dast raha apni hi wahshat ka shikar
aur karti rahi duniya mera pichha ta-umr
apne qadmon se kabhi us ko nikalne na diya
mujh se bad-zan raha KHud mera hi saya ta-umr
sari KHushbu to mere ghar ke dar-o-baam mein thi
main 'ziya' kis ke liye dasht mein bhaTka ta-umr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.