bhula hua maqam ghazal mein phir aa gaya
bhūlā huā maqām ġhazal meñ phir aa gayā
ik ḳhvāb-e-nā-tamām ġhazal meñ phir aa gayā
chhuptā phire thā dhuup kī talḳhī se saarā din
mahtāb-e-vaqt shām-e-ġhazal meñ phir aa gayā
sāñsoñ ke saath dil kī rageñ TūTtī raheñ
baḳhiya-garī kā kaam ġhazal meñ phir aa gayā
samjhā-bujhā ke dil se nikālā thā ik ḳhayāl
lafzoñ kā haath thaam ġhazal meñ phir aa gayā
lab par hañsī hai dil meñ udāsī ke bāvajūd
vo yuuñ ki terā naam ġhazal meñ phir aa gayā
bhula hua maqam ghazal mein phir aa gaya
ek KHwab-e-na-tamam ghazal mein phir aa gaya
chhupta phire tha dhup ki talKHi se sara din
mahtab-e-waqt sham-e-ghazal mein phir aa gaya
sanson ke sath dil ki ragen TuTti rahen
baKHiya-gari ka kaam ghazal mein phir aa gaya
samjha-bujha ke dil se nikala tha ek KHayal
lafzon ka hath tham ghazal mein phir aa gaya
lab par hansi hai dil mein udasi ke bawajud
wo yun ki tera nam ghazal mein phir aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.