bhule kab lazzat asiri ki chaman ko dekh kar
bhule kab lazzat asiri ki chaman ko dekh kar
Hassamuddin Haider Nami
MORE BYHassamuddin Haider Nami
bhūle kab lazzat asīrī kī chaman ko dekh kar
yaad aatī hai hameñ ġhurbat vatan ko dekh kar
haq-ba-jānib hai hamāre to ki ā.īne meñ vo
bosa le letā hai aap apne dahan ko dekh kar
sūñghne vaale tumhārī zulf-e-ambar-fām ke
hote haiñ chīñ-bar-jabīñ mushk-e-ḳhutan ko dekh kar
jī meñ hai ab be-sutūñ meñ jā ke ro.uuñ ḳhuub maiñ
naqsh-e-shīrīñ-o-mazār-e-kohkan ko dekh kar
vo sahī baalā jo gul yaad aa gayā gul-gasht meñ
lag ga.ī hichkī mujhe sarv-e-chaman ko dekh kar
mat kiyā kar āshiqoñ kī ḳhaak ko yuuñ pā.emāl
rasm-e-ishq uTh jā.egī tere chalan ko dekh kar
tīra-rozī yaañ talak to hai par ab khātī hai rashk
shām-e-ġhurbat hai mirī sub.h-e-vatan ko dekh kar
gul garebāñ chaak karte haiñ chaman meñ rashk se
bar meñ shabnam ke tumhāre pairahan ko dekh kar
qasd kartā huuñ ham-āġhoshī kā lekin roz-e-vasl
jī nikal jaatā hai us nāzuk badan ko dekh kar
chahchahe karne ga.e sab bhuul ab ḳhāmosh haiñ
murġh-e-gulshan mere andāz-e-suḳhan ko dekh kar
us se milne ko to 'nāmī' manā ham karte nahīñ
dījiyo lekin dil us paimāñ-shikan ko dekh kar
bhule kab lazzat asiri ki chaman ko dekh kar
yaad aati hai hamein ghurbat watan ko dekh kar
haq-ba-jaanib hai hamare to ki aaine mein wo
bosa le leta hai aap apne dahan ko dekh kar
sunghne wale tumhaari zulf-e-ambar-fam ke
hote hain chin-bar-jabin mushk-e-KHutan ko dekh kar
ji mein hai ab be-sutun mein ja ke roun KHub main
naqsh-e-shirin-o-mazar-e-kohkan ko dekh kar
wo sahi baala jo gul yaad aa gaya gul-gasht mein
lag gai hichki mujhe sarw-e-chaman ko dekh kar
mat kiya kar aashiqon ki KHak ko yun paemal
rasm-e-ishq uTh jaegi tere chalan ko dekh kar
tira-rozi yan talak to hai par ab khati hai rashk
sham-e-ghurbat hai meri subh-e-watan ko dekh kar
gul gareban chaak karte hain chaman mein rashk se
bar mein shabnam ke tumhaare pairahan ko dekh kar
qasd karta hun ham-aghoshi ka lekin roz-e-wasl
ji nikal jata hai us nazuk badan ko dekh kar
chahchahe karne gae sab bhul ab KHamosh hain
murgh-e-gulshan mere andaz-e-suKHan ko dekh kar
us se milne ko to 'nami' mana hum karte nahin
dijiyo lekin dil us paiman-shikan ko dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.