bhule se phir bujhi hui shamen jala na de
bhūle se phir bujhī huī sham.eñ jalā na de
maazī kā ḳhvāb aañkh kā kājal miTā na de
sāñsoñ ke irti.āsh ne be-dam hī kar diyā
dushman ko bhī ḳhudā kabhī aisī sazā na de
dāman sañbhāl kar chalo ab ke baras bahār
phūloñ ke ehtimām meñ kāñTe sajā na de
bhūle se yaad karte nahīñ ḳhud kisī ko vo
aur chāhte haiñ dūsrā un ko bhulā na de
bhule se phir bujhi hui shamen jala na de
mazi ka KHwab aankh ka kajal miTa na de
sanson ke irtiash ne be-dam hi kar diya
dushman ko bhi KHuda kabhi aisi saza na de
daman sanbhaal kar chalo ab ke baras bahaar
phulon ke ehtimam mein kanTe saja na de
bhule se yaad karte nahin KHud kisi ko wo
aur chahte hain dusra un ko bhula na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.