Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhuli-bisri baaten chhoDo ahd-e-gurezan lae kaun

Rizwanullah

bhuli-bisri baaten chhoDo ahd-e-gurezan lae kaun

Rizwanullah

MORE BYRizwanullah

    bhūlī-bisrī bāteñ chhoḌo ahd-e-gurezāñ laa.e kaun

    ham bhī qātil tum bhī qātil is par ab pachhtā.e kaun

    aao baiTho bāteñ kar leñ man bojh to halkā ho

    ham bhī haare tum bhī haare zaḳhmī dil bahlā.e kaun

    ḳhaak hue ḳhāshāk hue jo sho.ala-ba-dāmāñ rahte haiñ

    raakh meñ soī chiñgārī ab sho.aloñ lahkā.e kaun

    na.e nagar meñ aañkh jo kholī raste raste bahke haiñ

    apnī Dagar sab bhuul ga.e haiñ rāsta ab batlā.e kaun

    aa.e kitne piir payambar kis ne un par kaan dharā

    aag un din barkhā hogī us par niir bahā.e kaun

    apnī khetī hiire motī man meñ Dher lagā.e haiñ

    moh maarī duniyā meñ ab dāman ko phailā.e kaun

    lahlahā karte saa.e meñ sab god meñ khelā karte the

    sūkhe peḌ lakḌī haiñ ab dekho aag lagā.e kaun

    raah meñ baiTheñ haar ke ye to kesh nahīñ dīvānoñ

    dil se le kar paañv talak haiñ chhāloñ ko sahlā.e kaun

    'rizvāñ' kitne saada ho tum apnā āzār liye

    DhūñD rahe ho chāhne vaale bastī bastī paa.e kaun

    bhuli-bisri baaten chhoDo ahd-e-gurezan lae kaun

    hum bhi qatil tum bhi qatil is par ab pachhtae kaun

    aao baiTho baaten kar len man ka bojh to halka ho

    hum bhi haare tum bhi haare zaKHmi dil bahlae kaun

    KHak hue KHashak hue jo shoala-ba-daman rahte hain

    rakh mein soi chingari ab shoalon sa lahkae kaun

    nae nagar mein aankh jo kholi raste raste bahke hain

    apni Dagar sab bhul gae hain rasta ab batlae kaun

    aae kitne pir payambar kis ne un par kan dhara

    aag ki un din barkha hogi us par nir bahae kaun

    apni kheti hire moti man mein Dher lagae hain

    moh ki mari duniya mein ab daman ko phailae kaun

    lahlaha karte sae mein sab god mein khela karte the

    sukhe peD ki lakDi hain ab dekho aag lagae kaun

    rah mein baiThen haar ke ye to kesh nahin diwanon ka

    dil se le kar panw talak hain chhaalon ko sahlae kaun

    'rizwan' kitne sada ho tum apna hi aazar liye

    DhunD rahe ho chahne wale basti basti pae kaun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now