bhuli-bisri KHwahishon ka bojh aankhon par na rakh
bhūlī-bisrī ḳhvāhishoñ kā bojh āñkhoñ par na rakh
ḳhūb-sūrat ā.inoñ meñ ġham kā pas-manzar na rakh
dekh baḌh kar shoḳhiyāñ maujoñ kī aur qismat kā khel
kashtiyāñ dariyā ke sanjīda kināroñ par na rakh
yā to uḌ jā saath le kar qaid kī majbūriyāñ
varna apnī jur.atoñ kā naam bāl-o-par na rakh
ham to sar rakhte haiñ sajdoñ ke liye majbūr haiñ
tū agar sajdoñ kā qātil hai to sang-e-dar na rakh
dene vaale sar diyā hai to koī saudā bhī de
varna in kāñdhoñ pe ye bekār bār-e-sar na rakh
bevafā.ī kī alāmat ban chuke asnām sab
dil ke but-ḳhāne meñ 'raunaq' ab koī patthar na rakh
bhuli-bisri KHwahishon ka bojh aankhon par na rakh
KHub-surat aainon mein gham ka pas-manzar na rakh
dekh baDh kar shoKHiyan maujon ki aur qismat ka khel
kashtiyan dariya ke sanjida kinaron par na rakh
ya to uD ja sath le kar qaid ki majburiyan
warna apni juraton ka nam baal-o-par na rakh
hum to sar rakhte hain sajdon ke liye majbur hain
tu agar sajdon ka qatil hai to sang-e-dar na rakh
dene wale sar diya hai to koi sauda bhi de
warna in kandhon pe ye bekar bar-e-sar na rakh
bewafai ki alamat ban chuke asnam sab
dil ke but-KHane mein 'raunaq' ab koi patthar na rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.