bhulne ki ho gai bekar har tadbir dekh
bhūlne kī ho ga.ī bekār har tadbīr dekh
rang sau dikhlā rahī hai ye tirī tasvīr dekh
jāntā huuñ ik samundar kī tamanna hai tujhe
aa mirī āñkhoñ meñ apne ḳhvāb kī tā۔bīr dekh
vo tujhī meñ hai nihāñ jis kī hai tujh ko justujū
ban ke rāñjhā aa.ine meñ apne aks-e-hīr dekh
jab milī manzil to merā ham-safar hī kho gayā
bad-nasībī is ko kahte haiñ mirī taqdīr dekh
ratjagoñ se rabt hai aur vasl kī ḳhvāhish nahīñ
ab ināyat kar rahī hai hijr kī tāsīr dekh
apne maazī se sabaq le aur mustaqbil sañvār
vaqt kī peshāniyoñ pe hai likhī tahrīr dekh
rū-ba-rū hai mai magar tū us ko chhū saktā nahīñ
pyaas kī hasrat se pahle paañv kī zanjīr dekh
ilm kī daulat ke aage ḳham haiñ tāj-o-taḳht bhī
sar jhukātī hai qalam ke rū-ba-rū shamshīr dekh
aib mere ginñe vaale ḳhud ko bhī parkhā kabhī
vaar se pahle ye behtar hai tū apnā tiir dekh
mujh ko paalā hai ġhazal ne māmtā kī chhāñv meñ
bas adab ke vāste hī hai mirī tauqīr dekh
haa.e kaisī ho ga.ī ahl-e-siyāsat kī zabāñ
bāñTtī insān ko hai un kī har taqrīr dekh
be-hisī ko toḌ de ab to pighal ai sang-dil
kam se kam tū 'sant' kī āñkhoñ se chhalkā niir dekh
bhulne ki ho gai bekar har tadbir dekh
rang sau dikhla rahi hai ye teri taswir dekh
jaanta hun ek samundar ki tamanna hai tujhe
aa meri aankhon mein apne KHwab ki ta۔bir dekh
wo tujhi mein hai nihan jis ki hai tujh ko justuju
ban ke ranjha aaine mein apne aks-e-hir dekh
jab mili manzil to mera ham-safar hi kho gaya
bad-nasibi is ko kahte hain meri taqdir dekh
ratjagon se rabt hai aur wasl ki KHwahish nahin
ab inayat kar rahi hai hijr ki tasir dekh
apne mazi se sabaq le aur mustaqbil sanwar
waqt ki peshaniyon pe hai likhi tahrir dekh
ru-ba-ru hai mai magar tu us ko chhu sakta nahin
pyas ki hasrat se pahle panw ki zanjir dekh
ilm ki daulat ke aage KHam hain taj-o-taKHt bhi
sar jhukati hai qalam ke ru-ba-ru shamshir dekh
aib mere ginne wale KHud ko bhi parkha kabhi
war se pahle ye behtar hai tu apna tir dekh
mujh ko pala hai ghazal ne mamta ki chhanw mein
bas adab ke waste hi hai meri tauqir dekh
hae kaisi ho gai ahl-e-siyasat ki zaban
banTti insan ko hai un ki har taqrir dekh
be-hisi ko toD de ab to pighal ai sang-dil
kam se kam tu 'sant' ki aankhon se chhalka nir dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.