bhulne wale se koi kah de zara is tarah yaad aane se kya faeda
bhulne wale se koi kah de zara is tarah yaad aane se kya faeda
Shamim Dehlvi
MORE BYShamim Dehlvi
bhūlne vaale se koī kah de zarā is tarah yaad aane se kyā fā.eda
jab mire dil kī duniyā basāte nahīñ phir ḳhayāloñ meñ aane se kyā fā.eda
chaar tinke jalāne se kyā mil gayā miT sakā na zamāne se merā nishāñ
mujh pe bijlī girāo to jāneñ sahī āshiyāñ par girāne se kyā fā.eda
kyā kahūñ aap se kitnī ummīd thī aap kyā badle duniyā badal sī ga.ī
aasrā de ke dil toḌte haiñ mirā is tarah se satāne se kyā fā.eda
tum ne muusā ko nāhaq hī taklīf dī lutf aatā agar yaad karte hameñ
jin kī āñkhoñ meñ tāb-e-nazāra na ho un ko jalva dikhāne se kyā fā.eda
pahle dil ko burā.ī se kar paak tū phir ḳhulūs-e-aqīdat se kar justujū
aise sajdoñ se allāh miltā nahīñ har jagah sar jhukāne se kyā fā.eda
laakh samjhāyā tujh ko magar ai 'shamīm' terī hushyārī āḳhir na kaam aa sakī
aañkh miltī ga.ī raaz khulte ga.e ab haqīqat chhupāne se kyā fā.eda
bhulne wale se koi kah de zara is tarah yaad aane se kya faeda
jab mere dil ki duniya basate nahin phir KHayalon mein aane se kya faeda
chaar tinke jalane se kya mil gaya miT saka na zamane se mera nishan
mujh pe bijli girao to jaanen sahi aashiyan par girane se kya faeda
kya kahun aap se kitni ummid thi aap kya badle duniya badal si gai
aasra de ke dil toDte hain mera is tarah se satane se kya faeda
tum ne musa ko nahaq hi taklif di lutf aata agar yaad karte hamein
jin ki aankhon mein tab-e-nazara na ho un ko jalwa dikhane se kya faeda
pahle dil ko burai se kar pak tu phir KHulus-e-aqidat se kar justuju
aise sajdon se allah milta nahin har jagah sar jhukane se kya faeda
lakh samjhaya tujh ko magar ai 'shamim' teri hushyari aaKHir na kaam aa saki
aankh milti gai raaz khulte gae ab haqiqat chhupane se kya faeda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.