bichchha hai palang aaj lab-e-baam kisi ka
bichchhā hai palang aaj lab-e-bām kisī kā
taḌpā.egā shab-bhar mujhe ārām kisī kā
chupke bhī raho 'bahr' na lo naam kisī kā
īmān kisī kā hai na islām kisī kā
niklā tire hāthoñ na kabhī kaam kisī kā
pahuñchāyā na tābūt bhī do-gām kisī kā
duniyā se ye nafrat hai ki ab dil meñ yahī hai
muñh dekheñ kisī kā na suneñ naam kisī kā
ye hoñTh na boleñ kalima bad ye duā hai
ye kaan suneñ koī na ilzām kisī kā
TuuTā jo kabhī shīsha-e-mai aa.ī ye āvāz
us bazm meñ ma.amūr huā jaam kisī kā
ham qaidiyoñ tak bād-e-sabā bhī nahīñ aa.e
pahuñchā.e kisī gul ko jo paiġhām kisī kā
duniyā se safar shabnam-o-ḳhurshīd ke mānind
hai sub.h kisī kā to sar-e-shām kisī kā
ham logoñ kī jo baat hai vo be-sar-o-pā hai
āġhāz kisī kā hai na anjām kisī kā
dīvāne haiñ vo log jo gul khāte haiñ us par
ġham-ḳhvār na hogā vo gul-andām kisī kā
duniyā ke ḳhayālāt ko dil meñ na jagah deñ
ḳhalvat-gah-e-mahbūb meñ kyā kaam kisī kā
hai shā.iroñ ke dil kā koī shāhid-e-ainī
mazmūn ko ham kahte haiñ paiġhām kisī kā
fariyād kī tāqat nahīñ ham jāñ-ba-laboñ ko
ab dil na dukhā.e vo dil-ārām kisī kā
sandal kī na bū jā.egī piiso ki jalāo
miTtā hai miTā.e se kahīñ naam kisī kā
duniyā se bhī uqbā se bhī sharminda rahe ham
kuchh ho na sakā 'bahr' sar-anjām kisī kā
bichchha hai palang aaj lab-e-baam kisi ka
taDpaega shab-bhar mujhe aaram kisi ka
chupke bhi raho 'bahr' na lo nam kisi ka
iman kisi ka hai na islam kisi ka
nikla tere hathon na kabhi kaam kisi ka
pahunchaya na tabut bhi do-gam kisi ka
duniya se ye nafrat hai ki ab dil mein yahi hai
munh dekhen kisi ka na sunen nam kisi ka
ye honTh na bolen kalima bad ye dua hai
ye kan sunen koi na ilzam kisi ka
TuTa jo kabhi shisha-e-mai aai ye aawaz
us bazm mein mamur hua jam kisi ka
hum qaidiyon tak baad-e-saba bhi nahin aae
pahunchae kisi gul ko jo paigham kisi ka
duniya se safar shabnam-o-KHurshid ke manind
hai subh kisi ka to sar-e-sham kisi ka
hum logon ki jo baat hai wo be-sar-o-pa hai
aaghaz kisi ka hai na anjam kisi ka
diwane hain wo log jo gul khate hain us par
gham-KHwar na hoga wo gul-andam kisi ka
duniya ke KHayalat ko dil mein na jagah den
KHalwat-gah-e-mahbub mein kya kaam kisi ka
hai shairon ke dil ka koi shahid-e-aini
mazmun ko hum kahte hain paigham kisi ka
fariyaad ki taqat nahin hum jaan-ba-labon ko
ab dil na dukhae wo dil-aram kisi ka
sandal ki na bu jaegi piso ki jalao
miTta hai miTae se kahin nam kisi ka
duniya se bhi uqba se bhi sharminda rahe hum
kuchh ho na saka 'bahr' sar-anjam kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.