bichhaD gaya hun mera karwan nahin milta
bichhaḌ gayā huuñ mirā kārvāñ nahīñ miltā
kahīñ kisī ke qadam kā nishāñ nahīñ miltā
ḳhalā meñ Daal diyā shauq-e-irtiqā ne mujhe
zamīñ bhī chhūT ga.ī āsmāñ nahīñ miltā
hazāroñ raaz chhupā.e hoñ apne siine meñ
kise sunā.ūñ koī rāzdāñ nahīñ miltā
na jaane kaun churā le gayā ḳhudā jaane
bahut dinoñ se dil-e-nā-tavāñ nahīñ miltā
tumhāre shahr meñ rahne ke vāste ham ko
lahad to miltī hai lekin makāñ nahīñ miltā
khaḌā hai dhuup meñ ik ajnabī udaas udaas
haveliyāñ haiñ bahut sā.ebāñ nahīñ miltā
hamāre daur ke qātil haiñ kitne sho.abda-gar
ab āstīñ pe lahū kā nishāñ nahīñ miltā
ajiib haal hai ham shā.irān-e-urdu kā
zabāñ milī hai magar ham-zabāñ nahīñ miltā
vahāñ pe umr guzārī hai ham ne ai 'rizvāñ'
ki saañs lene kā haq bhī jahāñ nahīñ miltā
bichhaD gaya hun mera karwan nahin milta
kahin kisi ke qadam ka nishan nahin milta
KHala mein Dal diya shauq-e-irtiqa ne mujhe
zamin bhi chhuT gai aasman nahin milta
hazaron raaz chhupae hon apne sine mein
kise sunaun koi raazdan nahin milta
na jaane kaun chura le gaya KHuda jaane
bahut dinon se dil-e-na-tawan nahin milta
tumhaare shahr mein rahne ke waste hum ko
lahad to milti hai lekin makan nahin milta
khaDa hai dhup mein ek ajnabi udas udas
haweliyan hain bahut saeban nahin milta
hamare daur ke qatil hain kitne shoabda-gar
ab aastin pe lahu ka nishan nahin milta
ajib haal hai hum shairan-e-urdu ka
zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta
wahan pe umr guzari hai hum ne ai 'rizwan'
ki sans lene ka haq bhi jahan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.