bichhaD kar dur jaana paD gaya nan
bichhaḌ kar duur jaanā paḌ gayā naañ
tumheñ mujh ko bhulānā paḌ gayā naañ
mujhī se tum chhupāte the sabhī kuchh
mujhī ko ġham sunānā paḌ gayā naañ
mujhe smog achchhā lag rahā hai
ki us ko paas aanā paḌ gayā naañ
kahānī meñ parī marne lagī hai
nayā kirdār laanā paḌ gayā naañ
sañvar ke kyā karūñ maiñ jab kisī ko
mire ḳhvāboñ meñ aanā paḌ gayā naañ
bachāyā thā magar āḳhir kahāñ tak
mujhe ye dil lagānā paḌ gayā naañ
maiñ kitnī thī akelī chhoḌ do jab
mujhe ḳhud se batānā paḌ gayā naañ
kahā bhī thā bichhaḌ jaanā ḳhushī se
nayā ik shāḳhsāna paḌ gayā naañ
suḳhan par 'tājvar' jo nukta-chīñ the
unheñ bhī muskurānā paḌ gayā naañ
bichhaD kar dur jaana paD gaya nan
tumhein mujh ko bhulana paD gaya nan
mujhi se tum chhupate the sabhi kuchh
mujhi ko gham sunana paD gaya nan
mujhe smog achchha lag raha hai
ki us ko pas aana paD gaya nan
kahani mein pari marne lagi hai
naya kirdar lana paD gaya nan
sanwar ke kya karun main jab kisi ko
mere KHwabon mein aana paD gaya nan
bachaya tha magar aaKHir kahan tak
mujhe ye dil lagana paD gaya nan
main kitni thi akeli chhoD do jab
mujhe KHud se batana paD gaya nan
kaha bhi tha bichhaD jaana KHushi se
naya ek shaKHsana paD gaya nan
suKHan par 'tajwar' jo nukta-chin the
unhen bhi muskurana paD gaya nan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.