bichhaD kar mujhse koi ja raha hai
bichhaḌ kar mujh se koī jā rahā hai
kaleja muñh ko jaise aa rahā hai
laboñ par hai tabassum vaqt-e-ruḳhsat
magar dil hai ki umḌā aa rahā hai
vo āñchal sabr ke dāman ke mānind
mire hāthoñ se chhūTā jā rahā hai
ḳhafā the hī judā bhī ho rahe haiñ
falak ye kyā qayāmat Dhā rahā hai
judā yuuñ ho rahe haiñ mujh se jaise
muqaddar merā bigḌā jā rahā hai
'jalīl' ab is se baḌh kar daad kyā ho
ġhazal terī koī ḳhud gā rahā hai
bichhaD kar mujh se koi ja raha hai
kaleja munh ko jaise aa raha hai
labon par hai tabassum waqt-e-ruKHsat
magar dil hai ki umDa aa raha hai
wo aanchal sabr ke daman ke manind
mere hathon se chhuTa ja raha hai
KHafa the hi juda bhi ho rahe hain
falak ye kya qayamat Dha raha hai
juda yun ho rahe hain mujh se jaise
muqaddar mera bigDa ja raha hai
'jalil' ab is se baDh kar dad kya ho
ghazal teri koi KHud ga raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.