bichhaD kar tujhse ai jaan-e-jigar achchha nahin lagta
bichhaD kar tujhse ai jaan-e-jigar achchha nahin lagta
Tariq Islam Kukravi
MORE BYTariq Islam Kukravi
bichhaḌ kar tujh se ai jān-e-jigar achchhā nahīñ lagtā
ye tanhā zindagī kā ab safar achchhā nahīñ lagtā
qasam allāh kī sach hai binā tere tasavvur ke
ye she'r-o-shā'irī kā ab hunar achchhā nahīñ lagtā
baḌā bechain hai ye dil baḌī betāb haiñ sāñseñ
kahāñ ho tum chale aao idhar achchhā nahīñ lagtā
ye terī hī mohabbat kā sanam nāyāb jaadū hai
ki apnī hī galī apnā hī ghar achchhā nahīñ lagtā
ye maano yā na maano baat sach hai har tarah merī
na ho gar ham-safar to phir safar achchhā nahīñ hotā
samar aa.eñ na patte phuul hī jis meñ kabhī aa.eñ
kisī bhī vaqt yaaro vo shajar achchhā nahīñ lagtā
baḌe tum kho.e kho.e ho udāsī dil pe chhā.ī hai
koī kahiye ġhazal 'tāriq' agar achchhā nahīñ lagtā
bichhaD kar tujh se ai jaan-e-jigar achchha nahin lagta
ye tanha zindagi ka ab safar achchha nahin lagta
qasam allah ki sach hai bina tere tasawwur ke
ye she'r-o-sha'iri ka ab hunar achchha nahin lagta
baDa bechain hai ye dil baDi betab hain sansen
kahan ho tum chale aao idhar achchha nahin lagta
ye teri hi mohabbat ka sanam nayab jadu hai
ki apni hi gali apna hi ghar achchha nahin lagta
ye mano ya na mano baat sach hai har tarah meri
na ho gar ham-safar to phir safar achchha nahin hota
samar aaen na patte phul hi jis mein kabhi aaen
kisi bhi waqt yaro wo shajar achchha nahin lagta
baDe tum khoe khoe ho udasi dil pe chhai hai
koi kahiye ghazal 'tariq' agar achchha nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.