bichhaD ke ishq mein jina muhaal hai ki nahin
bichhaD ke ishq mein jina muhaal hai ki nahin
Tariq Islam Kukravi
MORE BYTariq Islam Kukravi
bichhaḌ ke 'ishq meñ jiinā muhāl hai ki nahīñ
ki ham ne jī ke dikhāyā kamāl hai ki nahīñ
use jo dekhe nazar-bhar usī kā ho jaa.e
ġhazab kā dekhiye husn-o-jamāl hai ki nahīñ
vo misl-e-hukm hī samjhā hai ḳhvāhish-e-jānāñ
ye ḳhvāhishoñ kā hamārī visāl hai ki nahīñ
zarā sī baat ko itnā baḌhā diyā tū ne
ki aabrū kā tujhe kuchh ḳhayāl hai ki nahīñ
udaas chehre ko paḌhte haiñ jab jahāñ vaale
ye pūchhte haiñ sabhī bol-chāl hai ki nahīñ
kamāo shauq se rozī kahīñ pe tum lekin
ḳhayāl rakhnā hai lāzim halāl hai ki nahīñ
bichhaD ke 'ishq mein jina muhaal hai ki nahin
ki hum ne ji ke dikhaya kamal hai ki nahin
use jo dekhe nazar-bhar usi ka ho jae
ghazab ka dekhiye husn-o-jamal hai ki nahin
wo misl-e-hukm hi samjha hai KHwahish-e-jaanan
ye KHwahishon ka hamari visal hai ki nahin
zara si baat ko itna baDha diya tu ne
ki aabru ka tujhe kuchh KHayal hai ki nahin
udas chehre ko paDhte hain jab jahan wale
ye puchhte hain sabhi bol-chaal hai ki nahin
kamao shauq se rozi kahin pe tum lekin
KHayal rakhna hai lazim halal hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.