bichhaD ke tujhse mayassar hue visal ke din
bichhaḌ ke tujh se mayassar hue visāl ke din
haiñ tere ḳhvāb kī rāteñ tire ḳhayāl ke din
firāq-e-jāñ kā zamāna guzārnā hogā
fuġhāñ se kam to na hoñge ye māh-o-sāl ke din
har ik amal kā vo kyā kyā javāz rakhtā hai
na ban paḌegā javāb ek bhī savāl ke din
urūj-e-baḳht mubārak magar ye dhyān rahe
inhī dinoñ ke ta.āqub meñ haiñ zavāl ke din
guzar rahe haiñ kuchh is tarah roz o shab apne
ki jis tarah se kaTeñ shāḳh-e-be-nihāl ke din
shikāyateñ bhī bahut haiñ hikāyateñ bhī bahut
guzar na jaa.eñ yūñhī ahd-e-be-misāl ke din
vo zindagī ko nayā moḌ de gayā 'mohsin'
yahī zavāl ke din haiñ mire kamāl ke din
bichhaD ke tujh se mayassar hue visal ke din
hain tere KHwab ki raaten tere KHayal ke din
firaq-e-jaan ka zamana guzarna hoga
fughan se kam to na honge ye mah-o-sal ke din
har ek amal ka wo kya kya jawaz rakhta hai
na ban paDega jawab ek bhi sawal ke din
uruj-e-baKHt mubarak magar ye dhyan rahe
inhi dinon ke taaqub mein hain zawal ke din
guzar rahe hain kuchh is tarah roz o shab apne
ki jis tarah se kaTen shaKH-e-be-nihaal ke din
shikayaten bhi bahut hain hikayaten bhi bahut
guzar na jaen yunhi ahd-e-be-misal ke din
wo zindagi ko naya moD de gaya 'mohsin'
yahi zawal ke din hain mere kamal ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.