bichhaD ke tujhse mili ye nai saza mujhko
bichhaḌ ke tujh se milī ye na.ī sazā mujh ko
tire firāq ne jiinā sikhā diyā mujh ko
qadam qadam pe nayā rāsta milā mujh ko
yaqīn aa gayā bhūlā nahīñ ḳhudā mujh ko
tamām umr kī tanhā.iyoñ kā hāsil hai
visāl-e-zāt kiyā jis se āshnā mujh ko
maiñ apne paañv se chādar sameT letā huuñ
barahnagī kā taqāzā hai Dhāñpnā mujh ko
vo mere qatl ke ilzām se barī niklā
aur apnī saarī ḳhatā.eñ bhī de gayā mujh ko
bichhaD ke tujh se mili ye nai saza mujh ko
tere firaq ne jina sikha diya mujh ko
qadam qadam pe naya rasta mila mujh ko
yaqin aa gaya bhula nahin KHuda mujh ko
tamam umr ki tanhaiyon ka hasil hai
visal-e-zat kiya jis se aashna mujh ko
main apne panw se chadar sameT leta hun
barahnagi ka taqaza hai Dhanpna mujh ko
wo mere qatl ke ilzam se bari nikla
aur apni sari KHataen bhi de gaya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.