bichhaD ke tum se jo fasl-e-bahaar guzri hai
bichhaḌ ke tum se jo fasl-e-bahār guzrī hai
hamāre dil ko baḌī nāgavār guzrī hai
ye zindagī jo guzārī hai ham ne tere baġhair
yaqīn jaan bahut be-qarār guzrī hai
tumhārī yādoñ ke motī sameTe baiThā thā
tamām raat mirī ashk-bār guzrī hai
tumhārā zikr kiyā ham ne apnī ġhazloñ meñ
ye baat sab ko baḌī nāgavār guzrī hai
sazā ye ham ko milī tum se dil lagāne kī
tum aa.e ho na shab-e-intizār guzrī hai
'salīm' ham ne jise sirf apnā samjhā thā
vo zindagī baḌī be-e'tibār guzrī hai
bichhaD ke tum se jo fasl-e-bahaar guzri hai
hamare dil ko baDi nagawar guzri hai
ye zindagi jo guzari hai hum ne tere baghair
yaqin jaan bahut be-qarar guzri hai
tumhaari yaadon ke moti sameTe baiTha tha
tamam raat meri ashk-bar guzri hai
tumhaara zikr kiya hum ne apni ghazlon mein
ye baat sab ko baDi nagawar guzri hai
saza ye hum ko mili tum se dil lagane ki
tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
'salim' hum ne jise sirf apna samjha tha
wo zindagi baDi be-e'tibar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.