bichhaD ke un se mile to kai sawal hue
bichhaḌ ke un se mile to ka.ī savāl hue
bahut dinoñ se mo.attal the kab bahāl hue
vo ek chehra jo kal se nazar nahīñ aayā
hameñ lagā ki use dekhe kitne saal hue
badan ko dasht banāyā hai is liye ham ne
jo dil meñ aa.e the māshūq sab ġhazāl hue
hamāre paas jise DhūñDhte ho tum aa kar
zamāne biit ga.e us kā intiqāl hue
hamesha logoñ ko dāvat pe tum bulāte ho
batāo un meñ se kitne namak-halāl hue
hameñ tum ishq ke ādāb mat sikhāyā karo
isī ḳharābe meñ apne safed baal hue
shajar lagā.e the jin rāstoñ pe ham ne kabhī
musāfirat meñ vahī rāste muhāl hue
hameñ tū ishq ke ādāb mat sikhā 'dilbar'
isī ḳharābe meñ apne safed baal hue
bichhaD ke un se mile to kai sawal hue
bahut dinon se moattal the kab bahaal hue
wo ek chehra jo kal se nazar nahin aaya
hamein laga ki use dekhe kitne sal hue
badan ko dasht banaya hai is liye hum ne
jo dil mein aae the mashuq sab ghazal hue
hamare pas jise DhunDhte ho tum aa kar
zamane bit gae us ka intiqal hue
hamesha logon ko dawat pe tum bulate ho
batao un mein se kitne namak-halal hue
hamein tum ishq ke aadab mat sikhaya karo
isi KHarabe mein apne safed baal hue
shajar lagae the jin raston pe hum ne kabhi
musafirat mein wahi raste muhaal hue
hamein tu ishq ke aadab mat sikha 'dilbar'
isi KHarabe mein apne safed baal hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.