bichhaD ke us se agarche mujhe qarar nahin
bichhaḌ ke us se agarche mujhe qarār nahīñ
ye aur baat mujhe us kā intizār nahīñ
nazar to pher mire kāġhazī badan kī taraf
abhī ye zarb-e-musalsal se tār-tār nahīñ
'ajīb shahr-e-tamannā ke rāste haiñ yahāñ
har ek samt likhā hai ki sāzgār nahīñ
nashāt-e-fasl-e-bahārāñ kī ho ga.ī aamad
shikoh-e-chashm-e-girāñ-bār tābdār nahīñ
vo manzileñ haiñ 'abas jin ke rāste haiñ tamām
vo raah raah nahīñ jo ki ḳhār-ḳhār nahīñ
bichhaD ke us se agarche mujhe qarar nahin
ye aur baat mujhe us ka intizar nahin
nazar to pher mere kaghazi badan ki taraf
abhi ye zarb-e-musalsal se tar-tar nahin
'ajib shahr-e-tamanna ke raste hain yahan
har ek samt likha hai ki sazgar nahin
nashat-e-fasl-e-bahaaran ki ho gai aamad
shikoh-e-chashm-e-giran-bar tabdar nahin
wo manzilen hain 'abas jin ke raste hain tamam
wo rah rah nahin jo ki KHar-KHar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.