Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bichhaD ke us se jo nikle to be-nawa the bahut

Nashtar Khaanqahi

bichhaD ke us se jo nikle to be-nawa the bahut

Nashtar Khaanqahi

MORE BYNashtar Khaanqahi

    bichhaḌ ke us se jo nikle to be-navā the bahut

    vo lā-sharīk na bhī ho sharīk-e-lā the bahut

    huā na kuchh bhī jo ham se mufāhamat to huī

    ham apne aap se ab tak ḳhafā-ḳhafā the bahut

    fazā hai sust ġham-e-marg ham-ḳhayālāñ saḳht

    hujūm-e-shahr meñ hone ko ham-navā the bahut

    kahīñ jo sach kiran thī to aa.ine meñ thī

    magar vo ḳhauf ki chehre havā havā the bahut

    gumāñ ġhalat thā ki jo shaḳhs bhī hai ham hai

    vo ham the ki har ik shaḳhs se judā the bahut

    ye kis ḳhatā pe milī be-qiyāmiyoñ sazā

    ki pā-shikasta sazā-yāb be-ḳhatā the bahut

    kahāñ gayā ki vo rakhtā hai jān-o-dil se 'azīz

    ye ik muġhālta ham jis meñ mubtalā the bahut

    bichhaD ke us se jo nikle to be-nawa the bahut

    wo la-sharik na bhi ho sharik-e-la the bahut

    hua na kuchh bhi jo hum se mufahamat to hui

    hum apne aap se ab tak KHafa-KHafa the bahut

    faza hai sust gham-e-marg ham-KHayalan saKHt

    hujum-e-shahr mein hone ko ham-nawa the bahut

    kahin jo sach ki kiran thi to aaine mein thi

    magar wo KHauf ki chehre hawa hawa the bahut

    guman ghalat tha ki jo shaKHs bhi hai hum sa hai

    wo hum hi the ki har ek shaKHs se juda the bahut

    ye kis KHata pe mili be-qiyamiyon ki saza

    ki pa-shikasta saza-yab be-KHata the bahut

    kahan gaya ki wo rakhta hai jaan-o-dil se 'aziz

    ye ek mughaalta hum jis mein mubtala the bahut

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now