bichhaD ke wasl ke phir se jo silsile honge
bichhaḌ ke vasl ke phir se jo silsile hoñge
qasam ḳhudā kī laboñ par faqat gile hoñge
tumhāre paas bhī kahne ko hogī baat koī
hamāre paas bhī duniyā ke mas.ale hoñge
ham apnī bebasī tanhā.ī saath lā.eñge
tumhāre saath jahāñ-bhar ke qāfile hoñge
na hogī pahle sī vo baat na vo bebākī
nadāmatoñ ke sabab tere lab sile hoñge
chalā hai ḳhaar bharī raah pe tū ishq kī gar
zarūr paañv meñ phir tere aable hoñge
bichhaD ke wasl ke phir se jo silsile honge
qasam KHuda ki labon par faqat gile honge
tumhaare pas bhi kahne ko hogi baat koi
hamare pas bhi duniya ke masale honge
hum apni bebasi tanhai sath laenge
tumhaare sath jahan-bhar ke qafile honge
na hogi pahle si wo baat na wo bebaki
nadamaton ke sabab tere lab sile honge
chala hai KHar bhari rah pe tu ishq ki gar
zarur panw mein phir tere aable honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.