bichhaDna mujhse to KHwabon mein silsila rakhna
bichhaḌnā mujh se to ḳhvāboñ meñ silsila rakhnā
dayār-e-zehn meñ dil kā diyā jalā rakhnā
palaT ke ā.eñge mausam to tum ko likkhūñgā
kitāb-e-dil kā varaq tum zarā khulā rakhnā
maiñ chāhtā huuñ vo āñkheñ jo roz miltī haiñ
kabhī to mujh se kahīñ ham pe aasrā rakhnā
badan kī aag se jhulse na jism rūhoñ kā
qarīb aa ke bhī tum mujh se fāsla rakhnā
udaas lamhoñ ke mausam guzar hī jā.eñge
kisī kī baat kā ab dil meñ kyā gila rakhnā
jo chal paḌe ho mare saath taptī rāhoñ par
kahīñ utaar ke phūloñ kī ye qabā rakhnā
bichhaDna mujh se to KHwabon mein silsila rakhna
dayar-e-zehn mein dil ka diya jala rakhna
palaT ke aaenge mausam to tum ko likkhunga
kitab-e-dil ka waraq tum zara khula rakhna
main chahta hun wo aankhen jo roz milti hain
kabhi to mujh se kahin hum pe aasra rakhna
badan ki aag se jhulse na jism ruhon ka
qarib aa ke bhi tum mujh se fasla rakhna
udas lamhon ke mausam guzar hi jaenge
kisi ki baat ka ab dil mein kya gila rakhna
jo chal paDe ho mare sath tapti rahon par
kahin utar ke phulon ki ye qaba rakhna
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 87)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.