bichhaDna yar se aasan bhi nahin hota
bichhaḌnā yaar se āsān bhī nahīñ hotā
phir aise jurm kā tāvān bhī nahīñ hotā
ye dukh nahīñ ki maiñ har ek se ulajhtā huuñ
ye fikr hai ki pashemān bhī nahīñ hotā
musībatoñ meñ use kaam aate dekhā hai
vo shaḳhs jis pe koī maan bhī nahīñ hotā
sunā hai us pe ka.ī jaan se bhī jaate haiñ
maiñ jaisī baat pe hairān bhī nahīñ hotā
hamārā rāsta kyoñ rokte haiñ sab rahzan
hamāre paas to sāmān bhī nahīñ hotā
har ek shai kī yahāñ qīmateñ muqarrar haiñ
yahāñ to muft meñ nuqsān bhī nahīñ hotā
ye kab kahā hai ki har aadmī farishta ho
sitam to ye hai ki insān bhī nahīñ hotā
mirā bhī dil hai kisī roz sair ko niklūñ
magar ye shahr to sunsān bhī nahīñ hotā
bichhaDna yar se aasan bhi nahin hota
phir aise jurm ka tawan bhi nahin hota
ye dukh nahin ki main har ek se ulajhta hun
ye fikr hai ki pasheman bhi nahin hota
musibaton mein use kaam aate dekha hai
wo shaKHs jis pe koi man bhi nahin hota
suna hai us pe kai jaan se bhi jate hain
main jaisi baat pe hairan bhi nahin hota
hamara rasta kyon rokte hain sab rahzan
hamare pas to saman bhi nahin hota
har ek shai ki yahan qimaten muqarrar hain
yahan to muft mein nuqsan bhi nahin hota
ye kab kaha hai ki har aadmi farishta ho
sitam to ye hai ki insan bhi nahin hota
mera bhi dil hai kisi roz sair ko niklun
magar ye shahr to sunsan bhi nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.