bichhDa wo goya zist mein aaya kabhi na tha
bichhḌā vo goyā ziist meñ aayā kabhī na thā
us ne mire mizāj ko samjhā kabhī na thā
lahje meñ us ke turshī bhī aisī kabhī na thī
dil is burī tarah mirā TuuTā kabhī na thā
go iztirāb kī to na thī vajh-e-zāhirī
dil ko magar qarār kabhī thā kabhī na thā
maanā ki zindagānī meñ aa.e ga.e haiñ log
koī bhī us gulāb-numā sā kabhī na thā
aayā bhī mere shahr mile bin bhī jā chukā
jaisā huā huuñ aaj maiñ tanhā kabhī na thā
ghuTne hī us ne Tek diye haar maan lī
logo vo ek shaḳhs jo haarā kabhī na thā
rāh-e-vafā meñ dasht bhī the vahshateñ bhī thiiñ
gar kuchh na thā to zulf kā saaya kabhī na thā
jhelā hai dard hañste hue khelte hue
kyā shaḳhs thā jo shikva sarāpā kabhī na thā
rāteñ kaTī haiñ din bhī guzāre ga.e 'rashīd'
detā jo dukh meñ saath sahārā kabhī na thā
bichhDa wo goya zist mein aaya kabhi na tha
us ne mere mizaj ko samjha kabhi na tha
lahje mein us ke turshi bhi aisi kabhi na thi
dil is buri tarah mera TuTa kabhi na tha
go iztirab ki to na thi wajh-e-zahiri
dil ko magar qarar kabhi tha kabhi na tha
mana ki zindagani mein aae gae hain log
koi bhi us gulab-numa sa kabhi na tha
aaya bhi mere shahr mile bin bhi ja chuka
jaisa hua hun aaj main tanha kabhi na tha
ghuTne hi us ne Tek diye haar man li
logo wo ek shaKHs jo haara kabhi na tha
rah-e-wafa mein dasht bhi the wahshaten bhi thin
gar kuchh na tha to zulf ka saya kabhi na tha
jhela hai dard hanste hue khelte hue
kya shaKHs tha jo shikwa sarapa kabhi na tha
raaten kaTi hain din bhi guzare gae 'rashid'
deta jo dukh mein sath sahaara kabhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.