bichhDen to shahr bhar mein kisi ko pata na ho
bichhḌeñ to shahr bhar meñ kisī ko pata na ho
tum ko bhī kuchh malāl hameñ bhī gilā na ho
majlis ki ḳhvāb-gāh jahāñ bhī nazar milī
un ko yahī thā ḳhauf koī dekhtā na ho
jin hādsoñ kī aag se dāmān-e-dil jalā
mumkin nahīñ charāġh-e-suḳhan bhī jalā na ho
merī ġhazal meñ jaisā tarannum hai soz hai
aksar huā gumāñ ki usī kī sadā na ho
un se alag huā to yahī fikr hai 'na.īm'
un kā tapāk-o-mehr kahīñ vāqi.a na ho
bichhDen to shahr bhar mein kisi ko pata na ho
tum ko bhi kuchh malal hamein bhi gila na ho
majlis ki KHwab-gah jahan bhi nazar mili
un ko yahi tha KHauf koi dekhta na ho
jin hadson ki aag se daman-e-dil jala
mumkin nahin charagh-e-suKHan bhi jala na ho
meri ghazal mein jaisa tarannum hai soz hai
aksar hua guman ki usi ki sada na ho
un se alag hua to yahi fikr hai 'naim'
un ka tapak-o-mehr kahin waqia na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.