bigaDne se tumhaare kya kahun main kya bigaDta hai
bigaḌne se tumhāre kyā kahūñ maiñ kyā bigaḌtā hai
kalejā muñh ko aa jaatā hai dil aisā bigaḌtā hai
shab-e-ġham meñ paḌe tanhā tasallī dil kī karte haiñ
yahī aalam kā naqsha hai sadā bantā bigaḌtā hai
vo yaad aatā hai aalam vasl kī shab kā vo ārā.ish
vo kahnā chhū na is dam zulf kā halqā bigaḌtā hai
hamāre uTh ke jaane meñ tirī kyā baat bantī hai
hamāre yaañ ke rahne meñ tirā kyā kyā bigaḌtā hai
vo kuchh ho jaanā ranjish us parī se bātoñ bātoñ meñ
vo kahnā pher kar muñh ye to kuchh achchhā bigaḌtā hai
jo ba.ad-az-umr ḳhat likhkhā to ye taqdīr kā likhkhā
ibārat gar kahīñ bantī hai to ma.anā bigaḌtā hai
agar ḳhāmosh rahtā huuñ to jī par mere bantī hai
agar kuchh muñh se kahtā huuñ to vo kaisā bigaḌtā hai
sifārish par bigaḌ kar haa.e vo us shoḳh kā kahnā
manā letā use maiñ par mirā sheva bigaḌtā hai
'nizām' us kī ināyat hai to phir kis baat kā ġham hai
banātā hai vo jis kā kaam kab us kā bigaḌtā hai
bigaDne se tumhaare kya kahun main kya bigaDta hai
kaleja munh ko aa jata hai dil aisa bigaDta hai
shab-e-gham mein paDe tanha tasalli dil ki karte hain
yahi aalam ka naqsha hai sada banta bigaDta hai
wo yaad aata hai aalam wasl ki shab ka wo aaraish
wo kahna chhu na is dam zulf ka halqa bigaDta hai
hamare uTh ke jaane mein teri kya baat banti hai
hamare yan ke rahne mein tera kya kya bigaDta hai
wo kuchh ho jaana ranjish us pari se baaton baaton mein
wo kahna pher kar munh ye to kuchh achchha bigaDta hai
jo baad-az-umr KHat likhkha to ye taqdir ka likhkha
ibarat gar kahin banti hai to mana bigaDta hai
agar KHamosh rahta hun to ji par mere banti hai
agar kuchh munh se kahta hun to wo kaisa bigaDta hai
sifarish par bigaD kar hae wo us shoKH ka kahna
mana leta use main par mera shewa bigaDta hai
'nizam' us ki inayat hai to phir kis baat ka gham hai
banata hai wo jis ka kaam kab us ka bigaDta hai
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 358)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.