bigDa jo waqt zinat-e-bazar ho gae
bigḌā jo vaqt zīnat-e-bāzār ho ga.e
nīlām kaise kaise ḳharīdār ho ga.e
maiñ phuul thā to pairoñ tale rauñdte the log
patthar huā to mere parastār ho ga.e
dīvāreñ uTh rahī haiñ mire ghar ke sahn meñ
lagtā hai mere beTe samajhdār ho ga.e
shāyad tire jahāñ meñ sharāfat gunāh hai
maiñ mom kyā huā sabhī talvār ho ga.e
uñglī thamā ke jin ko chalāyā thā paañv paañv
chalne lage to raah kī dīvār ho ga.e
zar paas ho to jab jise chāho ḳharīd lo
ham sab mata-e-kūcha-o-bāzār ho ga.e
'ārif' se haq-parast bhī sab jaañ ke ḳhauf se
un qātiloñ ke hāshiya-bardār ho ga.e
bigDa jo waqt zinat-e-bazar ho gae
nilam kaise kaise KHaridar ho gae
main phul tha to pairon tale raundte the log
patthar hua to mere parastar ho gae
diwaren uTh rahi hain mere ghar ke sahn mein
lagta hai mere beTe samajhdar ho gae
shayad tere jahan mein sharafat gunah hai
main mom kya hua sabhi talwar ho gae
ungli thama ke jin ko chalaya tha panw panw
chalne lage to rah ki diwar ho gae
zar pas ho to jab jise chaho KHarid lo
hum sab mata-e-kucha-o-bazar ho gae
'arif' se haq-parast bhi sab jaan ke KHauf se
un qatilon ke hashiya-bardar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.