bigDi hui jab hoti hai taqdir kisi ki
bigḌī huī jab hotī hai taqdīr kisī kī
kaam aatī nahīñ aise meñ tadbīr kisī kī
dil jiit liye apnoñ ke begānoñ ke pal meñ
guftār meñ aisī bhī hai tāsīr kisī kī
ye fāteh-e-aqlīm to ho saktī hai lekin
dil jiit na paa.ī kabhī shamshīr kisī kī
tahzīb-o-tamaddun kā chalan uTh gayā shāyad
kartā hai kahāñ ab koī tauqīr kisī kī
allāh re ye adl ye mīzān-e-adālat
paatā hai sazā koī hai taqsīr kisī kī
so.e haiñ abhī ahl-e-junūñ qaid-e-qafas meñ
pairoñ meñ khanaktī nahīñ zanjīr kisī kī
har lab pe faqat amn kī bāteñ hoñ ḳhudāyā
ho vajh-e-fasādāt na taqrīr kisī kī
ye husn kā e.ajāz hai yā nashsha-e-mai hai
sāġhar meñ utar aa.ī hai tasvīr kisī kī
shohrat kī tamanna hai to kar jehd-e-musalsal
'ahsan' yūñhī hotī nahīñ tash.hīr kisī kī
bigDi hui jab hoti hai taqdir kisi ki
kaam aati nahin aise mein tadbir kisi ki
dil jit liye apnon ke beganon ke pal mein
guftar mein aisi bhi hai tasir kisi ki
ye fateh-e-aqlim to ho sakti hai lekin
dil jit na pai kabhi shamshir kisi ki
tahzib-o-tamaddun ka chalan uTh gaya shayad
karta hai kahan ab koi tauqir kisi ki
allah re ye adl ye mizan-e-adalat
pata hai saza koi hai taqsir kisi ki
soe hain abhi ahl-e-junun qaid-e-qafas mein
pairon mein khanakti nahin zanjir kisi ki
har lab pe faqat amn ki baaten hon KHudaya
ho wajh-e-fasadat na taqrir kisi ki
ye husn ka eajaz hai ya nashsha-e-mai hai
saghar mein utar aai hai taswir kisi ki
shohrat ki tamanna hai to kar jehd-e-musalsal
'ahsan' yunhi hoti nahin tashhir kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.