bigDi hui jahan mein usi ki sanwar gai
bigḌī huī jahāñ meñ usī kī sañvar ga.ī
jis kī nizām-e-dahr pe gahrī nazar ga.ī
bīmārī-e-firāq nasīhat ye kar ga.ī
bigḌī vahī to baat jo had se guzar ga.ī
marne ke vaqt ḳhair jo guzrī guzar ga.ī
tum aa ga.e to ab mirī miTTī sañvar ga.ī
ahbāb chārāgar ko du'ā de rahe haiñ kyoñ
shāyad marīz-e-ġham kī tabī'at Thahar ga.ī
jalva dikhā ke tuur pe rū-posh ho gayā
achchhe par ai hakīm tumhārī nazar ga.ī
'ālam nizām-e-ishq kā badlā burī tarah
jis samt merī maut kī uḌ kar ḳhabar ga.ī
maiñ kyā batā.ūñ jā ke rukī kis maqām par
merī nazar jo hadd-e-nazar se guzar ga.ī
qātil tirī nigāh meñ tezī ġhazab kī hai
bismil phir aaj hazrat-e-'bismil' ko kar ga.ī
bigDi hui jahan mein usi ki sanwar gai
jis ki nizam-e-dahr pe gahri nazar gai
bimari-e-firaq nasihat ye kar gai
bigDi wahi to baat jo had se guzar gai
marne ke waqt KHair jo guzri guzar gai
tum aa gae to ab meri miTTi sanwar gai
ahbab chaaragar ko du'a de rahe hain kyon
shayad mariz-e-gham ki tabi'at Thahar gai
jalwa dikha ke tur pe ru-posh ho gaya
achchhe par ai hakim tumhaari nazar gai
'alam nizam-e-ishq ka badla buri tarah
jis samt meri maut ki uD kar KHabar gai
main kya bataun ja ke ruki kis maqam par
meri nazar jo hadd-e-nazar se guzar gai
qatil teri nigah mein tezi ghazab ki hai
bismil phir aaj hazrat-e-'bismil' ko kar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.