bich mahfil ke akela kar diya
biich mahfil ke akelā kar diyā
ai taġhāful tū ne ye kyā kar diyā
raah kā har naqsh dhuñdlā kar diyā
tū ne kyā ai umr-e-rafta kar diyā
maiñ kahāñ tanhā thā jab tanhā thā maiñ
tū ne aa kar mujh ko tanhā kar diyā
vaqt ke marham ne dil ke zaḳhm ko
bharte bharte aur gahrā kar diyā
ye to 'tāriq' ik tamāshā-gāh hai
kis ne is kā naam duniyā kar diyā
bich mahfil ke akela kar diya
ai taghaful tu ne ye kya kar diya
rah ka har naqsh dhundla kar diya
tu ne kya ai umr-e-rafta kar diya
main kahan tanha tha jab tanha tha main
tu ne aa kar mujh ko tanha kar diya
waqt ke marham ne dil ke zaKHm ko
bharte bharte aur gahra kar diya
ye to 'tariq' ek tamasha-gah hai
kis ne is ka nam duniya kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.