bij wafa ke bote hain
biij vafā ke bote haiñ
phir bhī tanhā rote haiñ
dil meñ rahne vaale log
dīmak jaise hote haiñ
kuchh paane kī hasrat meñ
kyā kuchh ham sab khote haiñ
fasl-e-gul kī ḳhvāhish meñ
banjar khet bhī jote haiñ
chor na ghar meñ aa jaa.e
jagte jagte sote haiñ
ham mushkil se laḌte haiñ
rone vaale rote haiñ
ḳhvāb ke maare bechāre
mere jaise hote haiñ
bij wafa ke bote hain
phir bhi tanha rote hain
dil mein rahne wale log
dimak jaise hote hain
kuchh pane ki hasrat mein
kya kuchh hum sab khote hain
fasl-e-gul ki KHwahish mein
banjar khet bhi jote hain
chor na ghar mein aa jae
jagte jagte sote hain
hum mushkil se laDte hain
rone wale rote hain
KHwab ke mare bechaare
mere jaise hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.