bimar-e-hijr bistar-e-gham se agar uThe
bimar-e-hijr bistar-e-gham se agar uThe
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
bīmār-e-hijr bistar-e-ġham se agar uThe
āvāza-e-qubūl duā-e-sahar uThe
lākhoñ haiñ dād-ḳhvāh hazāroñ haiñ mudda.ī
kis tarah roz-e-hashr kisī kī nazar uThe
ai yaas ek ek kā lāzim hai faisla
dil ko biThā ke hijr meñ dard-e-jigar uThe
hai āsmāñ kī vajah se gardan jhukī huī
ye chhat jo ho buland to nāloñ kā sar uThe
majbūr ho rahā huuñ maiñ bār-e-ḳhayāl se
imkān meñ nahīñ hai ki zaanū se sar uThe
mumkin nahīñ ki ashk na āñkhoñ se hoñ ravāñ
bālīñ se koī mujh ko agar dekh kar uThe
madd-e-nazar huā hai unheñ imtihān-e-zabt
tūfān-e-ashk aaj na ai chashm-e-tar uThe
hai ibtidā se yuñhī nasheb-o-farāz-e-dahr
kyoñ dil na baiTh jaa.e jo dard-e-jigar uThe
'mas.ūd' chheḌ vasl kī karnā zarūr thī
ḳhāmosh bazm-e-yār se kyā soch kar uThe
bimar-e-hijr bistar-e-gham se agar uThe
aawaza-e-qubul dua-e-sahar uThe
lakhon hain dad-KHwah hazaron hain muddai
kis tarah roz-e-hashr kisi ki nazar uThe
ai yas ek ek ka lazim hai faisla
dil ko biTha ke hijr mein dard-e-jigar uThe
hai aasman ki wajah se gardan jhuki hui
ye chhat jo ho buland to nalon ka sar uThe
majbur ho raha hun main bar-e-KHayal se
imkan mein nahin hai ki zanu se sar uThe
mumkin nahin ki ashk na aankhon se hon rawan
baalin se koi mujh ko agar dekh kar uThe
madd-e-nazar hua hai unhen imtihan-e-zabt
tufan-e-ashk aaj na ai chashm-e-tar uThe
hai ibtida se yunhi nasheb-o-faraaz-e-dahr
kyon dil na baiTh jae jo dard-e-jigar uThe
'masud' chheD wasl ki karna zarur thi
KHamosh bazm-e-yar se kya soch kar uThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.