bimar-e-mohabbat hun dawa kyon nahin dete
bīmār-e-mohabbat huuñ davā kyoñ nahīñ dete
tum apnī vafāoñ kā sila kyoñ nahīñ dete
maiñ qatra-e-gauhar huuñ to dariyāoñ meñ Daalo
ātish huuñ agar maiñ to bujhā kyoñ nahīñ dete
jab kahte ho tum phuul ho to phir mujhe jānāñ
tum apne baġhīche meñ khilā kyoñ nahīñ dete
maiñ hī to huuñ vo shai jo tajassus kā hai baa.is
tum mujh ko ḳhayāloñ se bhulā kyoñ nahīñ dete
be-dam kiye jaatā huuñ maiñ ye jurm-e-mohabbat
munsif bane phirte ho sazā kyoñ nahīñ dete
ye parda hī hai bā.is-e-hijrāñ dil-e-'kāvish'
ye parda nasheman se haTā kyoñ nahīñ dete
bimar-e-mohabbat hun dawa kyon nahin dete
tum apni wafaon ka sila kyon nahin dete
main qatra-e-gauhar hun to dariyaon mein Dalo
aatish hun agar main to bujha kyon nahin dete
jab kahte ho tum phul ho to phir mujhe jaanan
tum apne baghiche mein khila kyon nahin dete
main hi to hun wo shai jo tajassus ka hai bais
tum mujh ko KHayalon se bhula kyon nahin dete
be-dam kiye jata hun main ye jurm-e-mohabbat
munsif bane phirte ho saza kyon nahin dete
ye parda hi hai bais-e-hijran dil-e-'kawish'
ye parda nasheman se haTa kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.