bite hue lamhon ko socha to bahut roya
biite hue lamhoñ ko sochā to bahut royā
jab maiñ tirī bastī se guzrā to bahut royā
patthar jise kahte the sab log zamāne meñ
kal raat na jaane kyuuñ royā to bahut royā
bachpan kā zamāna bhī kyā ḳhuub zamāna thā
miTTī kā khilaunā bhī khoyā to bahut royā
jo jañg ke maidāñ ko ik khel samajhtā thā
haare hue lashkar ko dekhā to bahut royā
jo dekh ke hañstā thā ham jaise faqīroñ ko
shohrat kī bulandī se utrā to bahut royā
Thahrā thā jahāñ aa kar ik qāfila pyāsoñ kā
us raah se jab guzrā dariyā to bahut royā
bite hue lamhon ko socha to bahut roya
jab main teri basti se guzra to bahut roya
patthar jise kahte the sab log zamane mein
kal raat na jaane kyun roya to bahut roya
bachpan ka zamana bhi kya KHub zamana tha
miTTi ka khilauna bhi khoya to bahut roya
jo jang ke maidan ko ek khel samajhta tha
haare hue lashkar ko dekha to bahut roya
jo dekh ke hansta tha hum jaise faqiron ko
shohrat ki bulandi se utra to bahut roya
Thahra tha jahan aa kar ek qafila pyason ka
us rah se jab guzra dariya to bahut roya
- Book : Mizgan(Raees Ahmad Ansari Number : Shumara Number-027,028) (Pg. 269)
- Author : Naushad Momin
- Publication : M. N. Kashif (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.