bite hue zamane ki taswir khinch kar
biite hue zamāne kī tasvīr khīñch kar
laa.ī dayār-e-yār meñ taqdīr khīñch kar
pahchān kī talāsh meñ phirte haiñ dar-ba-dar
laa.ī hai sab ko ḳhvāhish-e-tash.hīr khīñch kar
kal raat ḳhvāb TuuTā to maiñ sochtī rahī
āñkhoñ se kaun le gayā ta.abīr khīñch kar
is ālam-e-baqā se yuuñ aatī na maiñ kabhī
laa.ī tire jamāl kī tanvīr khīñch kar
ik baar bhī vo muḌ ke agar dekhtā 'sadaf'
maiñ rok letī vaqt ko zanjīr khīñch kar
bite hue zamane ki taswir khinch kar
lai dayar-e-yar mein taqdir khinch kar
pahchan ki talash mein phirte hain dar-ba-dar
lai hai sab ko KHwahish-e-tashhir khinch kar
kal raat KHwab TuTa to main sochti rahi
aankhon se kaun le gaya tabir khinch kar
is aalam-e-baqa se yun aati na main kabhi
lai tere jamal ki tanwir khinch kar
ek bar bhi wo muD ke agar dekhta 'sadaf'
main rok leti waqt ko zanjir khinch kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.