biti baaton ka tazkira mat kar
biitī bātoñ kā tazkira mat kar
dost ab maiñ bhī thak gayā mat kar
log āñkhoñ kī baat sunte haiñ
yuuñ mirā zikr har jagah mat kar
aaj ai dil koī ġhazal mat chheḌ
bhar chukā zaḳhm phir harā mat kar
der tak intizār kartā rahā
jab na aanā ho to kahā mat kar
zehn ne baar baar samjhāyā
dil-e-nādān kā kahā mat kar
biti baaton ka tazkira mat kar
dost ab main bhi thak gaya mat kar
log aankhon ki baat sunte hain
yun mera zikr har jagah mat kar
aaj ai dil koi ghazal mat chheD
bhar chuka zaKHm phir hara mat kar
der tak intizar karta raha
jab na aana ho to kaha mat kar
zehn ne bar bar samjhaya
dil-e-nadan ka kaha mat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.