biti ruton ka album le kar baiTh gae
biitī rutoñ kā album le kar baiTh ga.e
ham āñdhī meñ resham le kar baiTh ga.e
dil kī bāteñ duniyā ko samjhāoge
tum bhī dhuup meñ shabnam le kar baiTh ga.e
tanhā.ī kī pyaas ne jab bechain kiyā
ham yādoñ kā zamzam le kar baiTh ga.e
ham bhī kyā nādān the dil bahlāne ko
ek fasāna mub.ham le kar baiTh ga.e
har chehre par zardī chhā.ī rahtī hai
āñkhoñ ko ye mausam le kar baiTh ga.e
biti ruton ka album le kar baiTh gae
hum aandhi mein resham le kar baiTh gae
dil ki baaten duniya ko samjhaoge
tum bhi dhup mein shabnam le kar baiTh gae
tanhai ki pyas ne jab bechain kiya
hum yaadon ka zamzam le kar baiTh gae
hum bhi kya nadan the dil bahlane ko
ek fasana mubham le kar baiTh gae
har chehre par zardi chhai rahti hai
aankhon ko ye mausam le kar baiTh gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.